Mohabbat

"Mohabbat bhi Zindagi ki tarah hoti hai
Har mod asaan nehi hota, har mod pe khushiya nehi milti.
Jab hum zindagi ka saath nehi chhodte toh
Mohabbat ka saath kyun chhode??
---Mohabbatein

2016-01-21

Achchhai Ki Jeet


                                                     Ajeeb baat hai…
Log achchhai ke jeet ki baat karte hain
Humne toh buraiyon ko jeet te huye dekha hai.

Kisi bhi Atanki humle ko le lo,26/11, 9/11 ya phir 1993 Mumbai blast---har humle me bekasoor aur masoom log yun hi mare jate hai. Unn masoomo ka gunaah kya tha jo unhe itni bedard aur bewaqt ki maut mili?

Aur maarnewalo ko saaza ke taur me baas ek maut!!! 
Itne saare maut ke baadle baas ek maut!!!

Ajeeb baat hai phir bhi log achchhai ke jeet ki baat karte hai.

Sirf masoomo ko maut hi nehi,unke maut ke saath saath jo taadap, jo dard, jo sunapan unke gharwalo,doston aur baaki aapno ke zindagi me aaya unka bhi hissab lagao. Kaahin Maa ne aapne beti khoyi ya beta khoya, kahin bhai ne aapna behan  khoya, kaahin pyaar ki maut huyi toh kahin nayi dulhan ne aapne jeevan saathi khoya, kaahin masom bachche maare geye toh kahin kisi ne aapna dost khoya---ajeeb baat hai---phir bhi log achchhai ke jeet ki baatein karte hai.
Chalo mante hai ke gunaah karnewalo ko saaza mila, lekin sach toh yeh hai ke---na woh murde jaag uthenge aur nahi logo ko jo sunapan mila who kabhi bhar payega.

Taqdeer toh saitan likhte hai
Phir bhi log achchhai ke jeet ki baatein karte hai.

1 comment: